Saturday, July 27, 2013

Manzil

manzil hmare ghar me rawayat rahi ha fajar or maghrib k baad parhna
mere pas jo jild ha me usme diya gaya ref yahan share kr rahi hu
Asnad e Manzil

Aseeb waghaira k liye kutab e ahadess masln Mastdrk, ibne majja or musand e Ahmed me qurani ayat hain, musanad e ahmad me ak qissa bhi ha.
tarjuma: Hazrat Abi Bin Kaab r,a riwayat krty hain k me Hazoor e Aqdas p,b,u,h ki khidmat me hazir tha k ak dihatti ayaor usne kaha k Ay Allah k Nabi mera ak bhai ha or usko takleef ha. APP ne farmaya k usko mere paas le ao. wo usko le aya or APP k samne kr diya. NABI PAK ne us pr ye ayyat parh din jis k natejy me wo sehat yaab ho gya ese k goya usko koi takleef thi hi nahi (musand Ahmad rakm:21232)

iske ilawa AL Qool Ul Jameel me hazrat shah wali ul allah muhadis dehlwi farmaty hain:" Ye 33 ayat hain jo JADO k assar ko raffah krti hain or shaitan or chooron or darinde janwaron se bachati hain."

dosri baat ye ha k is me jitni bhi ayat hain kisi bhi kisam k shhar se bchana mukhtalif AHADEES se sabit ha, yahan sab likhna mere liye mumkin nai q k ghalati ka dar ha lakn me koshish kru gi k pics bna k yahan de du.

@*Muslim* @FallenAngeL @Mahen


View the original article here

No comments:

Post a Comment